Monday, 30 October 2017

Dil Bhar Aata Hai..!



Wo Taaron ki Chaaon mei baitha Dil ka Haal Sunata hai
Nasamjh si baatein uski par roz mujhe samjhata hai
Kehta hai kuch aur nahi bas sath kisi ka chahta hai
Paas bhi rehna hai mere aur mujhko door bhagata hai

Jugnoo jaisi jalti bhujhti hai khwahish uski
Aur kuch nadan choti choti farmaish uski
Tukde Tukde Zod ke fir se kashti nayi banata hai
Kehta hai rukh ke sath baho aur kinaro se dar jata hai

Mei bas lamhe zod rahi hu Kagaz ki Kashti chhod rahi hu
Manzil ka koi pata nahi Kadmo ko wapis Mod rahi hu
Itna malum hai Dil ko Milo sa Lamba safar hai mera
Bas jab raah akeli dikhti hai kuch der ko dil bhar jata hai

Sunday, 2 February 2014

Mushkil....!!!



Tujhe Jaane ki jaldi thi, mera rukna bhi Mushkil tha
Teri yaadon ke pinjare se nikalna bhi Mushkil tha
Udaasi udd gayi aankhon se, bas Mushkaane yeh Juthi hai
Behke kadmo ka Iss Bar sambhalna bhi Mushkil tha

Mei Roti hu apne beete Waqt –e-Gunaaho par
par nigaho se Kambakht  Aansu ka  Fisalna bhi Mushkil tha
koi kehta hai kyu baandha hai andheron mei Yun khud ko
Bas Baat Itni thi ki ab Ghar se Nikalna hi Mushkil tha

Khayal Aata Kyu Nahi...!!







Yeh Waqt Behta Hai Magar Mujhko Bahata Kyun Nahi
Meri  Takdeer ka Tara Kabhi Jagmagata Kyu nahi
Mujhe Tod Ke Tukde Karo Apni Khusi se Khel Lo
Meri Aarzo Ko Sunke Koi Khilkhilata Kyu Nahi

Mujhe Kehte Ho Jamane Se Ladna Abhi Baki Hai
Abhi to chalna hai sikha, sambhalna abhi baki hai
Meri Bejaan si palko pe bhaari khwaab rakhte ho Naye
Meri Aankhein hi Na Band ho Jaye ye Khayal Aata Kyu Nahi